Thursday, 6 March 2014

Tu Bhi Kisi Ka Pyar Na Paye Khuda Kare


Tu Bhi Kisi Ka Pyar Na Paye Khuda Kare;
Tujh Ko Tera Nasib Rulaye Khuda Kare;

Raton Mein Tujh Ko Neend Na Aaye Khuda Kare;
Tu Dar-Ba-Dar Ke Thokaren Khaye Khuda Kare;

Aaye Bahar Tere Gulistan Mein Bar Bar;
Tujh Par Kabhi Nikhar Na Aaye Khuda Kare;

Meri Tarah Tujhe Bhi Javani Mein Gham Mile;
Tera Na Koi Sath Nibhaye Khuda Kare;

Manzil Kabhi Bhi Pyar Ke Tujh Ko Na Mil Sake;
Tu Bhi Dua Ko Hath Uthaye Khuda Kare;

Tujh Par Shab-E-Visal Ke Raten Haram Hon;
Shammen Jala Jala Ke Bujhaye Khuda Kare;

Ho Jayen Bad-Duayen Meri Dosto Galat;
Ab Un Pe Koi Harf Na Aaye Khuda Kare!

0 comments:

Post a Comment

Twitter Delicious Facebook Digg Stumbleupon Favorites More